Syed Danish

Add To collaction

लेखनी कहानी -21-Dec-2021

WADAA

Kya mujhe chhodh ke jane ka wada kar sakti ho
Kabhi na sath nibhane ka wada kar sakti ho


Yaad Rakhne ka wada to sabhi karte hain 
Tum mujhe bhool jane ka wada kar sakti ho


KHAYAL APNA rakhne ka wada mai karta hu
Tum MUJHE yaad na aane ka wada kar SAKTI ho


sab ashiq kehte hain muje dhoka nhi dena
Tum Kisi or ko chahne ka wada kar sakti ho


Logon ki to chahat hai ki bas QARIB aa jaye
Tum mujse door jane ka wada kar sakti ho


Kabhi kehti thi k mujse karungi pyar ta umar tak
Kya nafrat nibhane ka ab wada kar sakti ho


Jo QASMAIN khai thi hamne hamesha sath rehne ki
Wo qasmain tod k jane ka wada kar sakti ho


Sath jeena sath marna ab ye baate fizol hain
Mai MARU kahi Tum jiyo KAHI 
Ye WADA kar sakti ho

   7
1 Comments

Sachin dev

23-Dec-2021 01:00 PM

Very nice 👌

Reply